Wednesday, October 24, 2007

Getting Started With Antaragni Oh-Seven

Antaragni is in the air. Saal ka wo waqt aa gaya hai jab campus mein har dil ki dhadkan badh jaati hai, har aankh chamakne lagti hai (sirf 4 dinon k liye hi sahi) aur dhobiyon ka workload achanak se badh jaata hai. (Maine bhi apne dhobi ko 14 kapde diye hue hain). Aur agar aapko lah\gta hai ki ye aseem anand ka mahal sirf purush prajati tak hi seemit hai to aap galat hain. Humaari apni ITK ki kanyaaon ne bhi tattoo karwa kar Antaragni ki taiyariyaan shuru kar di hain.

Last night our reporters set out to see what is new in Antaragni Oh-Seven. (Still have the hangover of Techkriti Oh Seven!). Jaise hi hum SAC pahunche, laga ki community centre aa gaye hain aur Diro ki shaadi ho rahi hai. IITK ke itihaas purush (jisko samanya log alumnus kehte hain) Shri Shri 1008 Bappaditya MAlik urf Bam ne ek baar kaha tha, "Ye saale north India waale har cheez ko baaraat bana dete hain." Kitne satya the ye vachan! Dekhiye un taiyaariyon ki ek jhalak!

Shadi ka ye mahaul sirf SAC ke gate tak hi seemit nahi tha. SAC ke andar khada har aadmi ladki ke baap ki tarah hairan pareshan tha. Yakeen nahi hota, to ye dekhiye! Ye hain Rithambhara wale! Nyuntam vastron mein aane wali models ko pas se dekhne ke armaan inki aankhon se tapak rahe hain!

Ghar ki rangai putaai bhi to karni hai! Ye jawan jaan ki parwaah kiye bagair laga hua hai!


Ye kanya IITK ki mahan parampara ko kayam rakhte hue bhayanak bhayawah bhayakraant fraud maarte hue range haathon pakdi gayi! Ye poster ek seedhe saadhe bachche ne banaya hai, jiska saara credit ye Madam lootne mein lagi hui hain!

Itni mehnat ke beech achanak SAC mein bheeshan bhagdad mach jaati hai. Hum logon ne utsukta aur dar ke saath jhaank kar deka to maloom pada ki fokat ki chai aayi hai! Ye dekhiye us bhagdad ka ek nazara!


Humaari apni pyaari rajdulaari Prabha Mallya ne apna pashu prem is bar Antaragni mein poori tarah se dikhaya hai. Antaragni ke mascot ke roop mein handicapped kutte jaise dikhne waale ek dragon ke unke idea ne bechaare fina arts walon ki mar li hai. Iski bhi ek jhalki dekh hi lijiye, bade pyaar se khichi hai!

Ye painting ek tribute hain un saare dudes ko jo Antaragni ke samay import kiye jaate hain!

Chalte chalte ek logical sawal! Ye Kanpur mein gadde/light/tent-house waale paise nahi lete hain ya fir Antaragni Oh Seven ki khoonkhaar marketing team ne inko bhi sponsor bana liya hai? Sochiye site par likha ho Mattress Sponsor “Kamal Tent House, Birhana Road (Yahan shadi-vivah evam partiyon ke order book kiye jaate hain. Ek baar sewa ka mauka awashya dein)”, Idea bura nahin hai. Techkriti Oh Eight! Waale log ise try kar sakte hain!

Aaj bas itna hi. Jaldi hi fir waapas ayenge. Aur ye raha aaj ka final photu! Ye photu isliye daala gaya hai kyunki ye insaan Anubhav (Y3 batch ka sexy legs) ka bhai hai. Humara blog hai be! Jo chahenge karenge!

9 comments:

doctorgero said...

For Hindi, Devanagri please: Google Transliterate. Thanks!

Unknown said...

Bahut hi sarthak prayaas hai..aur aseem anand ki prapti hui.
da dude's koolness is affable.. bachhon ko bahut bahut shaabashi!
Parantu Antaragni main naa aa paane ka gahm bhi kuchh badh gaya.
Ummeed hai ki aapki bachi khuchi team aage bhi aise safal prayas karti rahegi.
Dainik Gadar ki jai ho!!
P.S. ye samay blog likhne ka nahi.. hospitality desk par masala ikkatha karne ka hai.isliye jaao paarth!

Nirbheek said...

Hilarious! And great pics too :)

Ashish Bhatia said...

nice one
lets hope this blog has new postings atleast till end of antaragni

Richa said...

are bakait blog!! sahi journalism hai ! lage raho !

Anonymous said...

isme gadar wali baat nahi hai abhi.. thoda aur jor lagao.. pics dekh ke maza aaya :)

Unknown said...

roflmao

Chanduz said...

yaaron .............hindi mai tanslate karo......
or thoda or tel baaccho.aabhi jayda masti nahi aayi hai..

but nice effort

Aneesh said...

atul iitk me waste ho gaya, use to agni-baand ka reporter hona chahiye tha :)

i agree with the first post, google hindi uze karo

lagey raho