Wednesday, October 24, 2007

Cheap-ta Channel


Antaragni shuru hone mein abhi ek din baaki hai par hum sabse pehle bolne ka mauka Dean ko nahi dena chahte the. Isliye humne SAC ke pavitra aangan mein shuru kiya apna naya abhiyaan jisko humne diya ek naya naam, “Cheap-ta Channel”

Shuruat kaafi kharaab rahi kyunki jaise hi hum OAT arena mein jaakar baithe aur apne andaaz mein full volume kholna shuru kiya, poori tarah se bhara hua OAT 10 minute mein khaali ho gaya. Apni is veertapoorna harkat par itraate hue humne apne pyaare bachche Arvind Kothari ko pakda aur Cheap-ta Channel ke abhiyaan ki official shuruat ki.

Antaragni mein jo insaan sabse jyada maraata hai wo hota hai bechara Cul Secy. To us bechare ko bhi to apna manoranjana karne ka thoda sa haq hota hai. Sumeet Kale apne isi haq ka poori tanmayta se prayog karte nazar aaye aur humaare hiden cameras ne unhe range haathon pakad liya!

Aaj SAC mein ghati ek dukhad ghatna mein ek “machchhar” ki laash Control Room mein paayi gayi. Chirag Mittal ko baar baar laash ki shinaakht ke liye bulaya gaya, par wo itne gamgeen the ki nahin aa sake. Laash ka antim samman poore rajikaya samman ke saath kar diya gaya.

Fir humne pakdi ek pyari bachchi jo humari pehli victim thi ek yaadgaar interview ke liye. Bachchi ki aapattiyon ke kaaran hum wo interview yahan post nahi kar paa rahe hain!

Dheere dheere SAC ujaad hone laga to humko laga ki chlne ka waqt aa gaya hai. Par raste mein humari gaadi Basky Court ke station par aseem saundarya dekhkar ruki! Us area se khoobsoorti overflow kar rahi thi. Pehle to humko laga ki Udghosh ho raha hai, kyunki Punjab ke humaare Sardar mitragan; jo ki INIFD Chandigarh se the aur sundariyaan unhi ki team mein thi; Antaragni se jyada dhyaan Basketball par de rahe the. Wahan par humne ek baar fir apni ganda kholne ki skills ka bharpoor parichay dekar IITK aur AMU ka naam ooncha kiya!

Un hatte katte saandon ke basky khelne ke challenge ko hummare ek shoor veer ne accept kiya par is shart par ki hum neeche se basket karenge! Jab wo khelne mein vyast the tab humne mauka taadkar unke batch ki sundariyon se vaartalaap kar apni Antaragni ki paari shuru kar hi daali.

Kuchh bhi kahiye, Chandigarh waalon ki baat hi alag hai. Apne college ke “salam” ke naam par unhone “FaFa” ki rat lagani shuru kar di. Iska matlab kya tha ye jaan ne ke liye humne kaafi dimagi ghode daudaye, par “Fa” aate hi hum IIT waalon ke dimmag mein sirf ek hi 4 letered word aata hai. Ab wo is shabd ko do baar kyun bol rahe the, ye to wo hi jaane! Khair is khoobsurat encounter ke baad ek chhota sa interactive session un Punjabi purushon ke saath bhi hua. Aur jaise hi wo bandiyaan GH ke andar ghusi hum bhi turant kat liye. Aakhir agle 4 dinon ke liye bhi to energy bachcni hai! Abhi bahut kuchh baaki hai, dekhne ke liye aur aapko dikhane ke liye. Dekhte rahiye Cheap-ta Channel!

3 comments:

Ashish Bhatia said...

chaapte raho

Atul Jain said...

Chaapte nahi, Cheap-te raho!

Anonymous said...

chhapte bhi raho....